Search
Sunday, 11 December 2011
Shayri
<opml version="1.0">
<head>
<title>S60 Feeds Client - Feed Subscriptions</title>
</head>
<body>
<outline text="Contacts bar">
<outline text="Shayri" xmlUrl="http://www.shers.in/?feed=rss2" type="rss"/>
</outline>
</body>
</opml>
Friday, 9 December 2011
Shayri2012
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?
Ab ret pe nage pao tahelte kyunahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
To Dosto Shaher ki es daud medaud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?
Manzilein unhi ko milti hai,
Jinke sapno me jaan hoti hai....
Pankh se kuchh nahi hota,
Haunslo se udaan hoti hai....
Khoobiyan Itni To Nahi Hum Mein,
Ke Kisi Ke Dil Mein Ghar Kar Jayenge,
Par Bhoolna Bhi Aaasaan Nahi Hoga,
Aisa Zaroor Kuch Kar Jayenge.
Ek aur subah ja rahi hai zindagi ki;
Ek aur din aa raha zindagi ka;
Ye mat socho ki kitne lamhe hai baaki zindagi ke;
Ye socho ki kitni zindagi hain baki har lamhe me;
Bhujhi hui shama phir se jal sakti hai,
Tufano mein ghiri kashti kinare lag sakti hai.
Tu Mayus na hona, zindagi mein kabhi
Yeh taqdeer hain dost, kabhi bhi badal sakti hai.
Soch ko badlo, sitare badal jaayenge,
Najar ko badlo, najare badal jaayenge,
Kashtiya badalne ki zururat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badaljaayenge.
Zindagi bahut kuch sikhati hai,yaaro
Thoda hasati hai,thoda rulati hai,
Khud se jyada kisi pe bharosa mat karna,
Kyun ki andhere mein to, parchai bhi saath chod jathi hai."
Tujhmein hain junoon; Agar tujhme hain jazba
Tu chahle to registaan mein bhi phool khile
Arey manzil kyon dhoondta hain bande
kadam hi kuch aise bada ke har kadmo tale manzil mile
Aye dost gam na kar
Takdir badalti rahti hai
Shisha shisha hi rahta hai
Tasvir badalti rahti hai...
Tamanna ne zindagi ke aanchal me sar rakh ke pucha,
Ke Bata Main kabhi puri hongi,
To Ispar zindagi ne muskurate huain kaha,
Jo puri ho jaye woh tamanna hi kya
Hawaa mein taasho ka mahal nahin banta
Ronese bigdaa hua muqaddar nahin banta
Jitne ka silsila rakho yaro
Kyonki, ek jeet se koi sikandar nahin banta
Waqt kehta hain mein phir aaoonga
Teri aankhon ko ab aur na rulaoonga
Agar jina chahata hain to iss pal ko jile
Shayad mein kal tak nahin ruk paaoonga
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Insaan ki khwaisho ki koi intehaan nahin hoti
Bas do gazz zameen chahiye, do gaz fafan k baad
har khoobsurat cheez mein koina koi kami hoti hain
har dil ke andar koi na koi baat chupi hoti hain
iss saare aasman ki kitne bhi khwaish karlo
magar khak mein milne ko yehzameen hi hoti hain
Phool ban kar muskurana bhi zindagi hai,
Muskurakar gham bhulana bhi zindagi hai.
Jeetkar khush hue to kya,
Har kar muskurana bhi zindagihai.
waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai
kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai
koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door
Sukh dukh ke jalwo se ek din mukti pana hai
Ghar se chale hum sair karne
Dil mein bade armaan the
Ek taraf jungle hi jungle;
Ek taraf shamshan the
Parion tale haddiyan mili
Jinke yahi baiyan the
Chalne wale sambhal ke chal
Hum bhi kabhi insaan the
Marte dum na dum nikli
Muqaddar ki kami nikli
Mere liye kafan aaya
To usme bhi kami nikli
Saj raha tha janaza mera
Paati bhi ghooni nikli (lakdi bhi khokli nikli)
Mere liye kabr khodi
To pathar ki zameein nikli
JANAZA
Har raat nashe me hoti hai,
aur raat gujar jaati hai,
ek din aisa ayega,
jab raat nashe mai hogi, aur ham gujar jaayenge"
Zamane ki nainsaafiya kahoo mein jake kisse
chaman waloko deedare chaman tak nahi hota
kisike pao tale biche hote haingaliche
To kisiko marne ke baad kafantak naseeb nahi hota
DIL KE DARD KO DIL TODNE WALE KYA JANE,
PYAR KE RIWAJO KO YE JAMANA KYA JANE,
HOTI HAI KITNE TAKLIF KABR ME,
WO UPPER SE PHUL RAKHNE WALE LOG KYA JANE,
KABHI KHAMOSHI BHI BAHUT KUCH KEH JATI HAI,
TADAPNE KE LIYE SIRF YADE RAH JATI HAIN,
KYA FARK PADTA HAIN,DIL HO YA KOYLA,
JALNE KE BAAD TO SIRF RAAKH HI REH JATI HAIN,
Woh dil kya jo milne ki dua na kare,
Tujhe bhool kar jiyun khuda na kare,
Rahegi teri yaari meri zindagi bhar ki,
Yeh baat aur hai ke Zindagi WAFA NA kare. . .
Fark sirf itna hoga
Teri doli sajegi; Mera janaza sajega
Phool tujhpar bhi honge; Phool mujhpar bhi honge
Dost tere bhi honge; Ahbaab mere bhi honge
Qazi udhar bhi hoga; Maulvi idhar bhi hoga
Tu saj k jayegi; Mujhe sajaya jayega
Tu uth k jayegi; mujhe uthaya jayega
Fark sirf itna hoga
Tujhe apnaya jayega; Mujhe dafnaya jayega
Bas ek ehsaan sanam hum pe kardo,
sirf ek nazar dekhkar raham kar do,
phir aur kuch na mang sakenge hum tumse,
us ek nazar se hume khatam kar do ...
Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Ek Mein Nahin Tha Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Mein Hota Bhi Kaise Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Bhi Zanazaa Ja raha tha Tumhare Zanaze Ke Peeche
Janaza mera uth raha tha,
Phir bhi takleef thi unko aane mein,
Bewafa ghar mein baithe puchrahe the,
Aur kitni der hai lejane mein..
ye to malum hai k tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya k saamne la na sakenge
jaldi aa jaao k waqt rukhsat kahai
tumhe dekhe bina hum duniyase ja nahi sakenge
Vaade bhi usne kya khoob nibhaye hai,
zakhm muft aur dard tohfe mebhijwaye hai.
Is se badhkar wafadari ki misaal kya hogi
Ki maut se pehle vo kafan le aaye hai.
Aankh khule to chehra meri jaan tumhara ho
Aankhe band ho to sapna merijaan tumhara ho
Mein mar bhi jao to gum na ho
Agar Kafan mile to dupatta meri jaan tumhara ho
Kafan na dalo mere chehre par,
Mujhe aadat hai muskurane ki,
Na dafnao meri laash ko,
Mujhe abhi bhi aas hai uske aane ki
Woh doondte rahe hume idhar udhar
Unhe hamari iskadar talash thi
Per afsos is baat ka tha, jis kabar pe they kadam unke
Usi main hamari laash thi
Woh aaye maiyat par meri,
karne mohabbat ka izahar,
mere bejaan jism ne kaha,
mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon tumse pyar.................
Ashk wo bhi girane lage hain,
paigam unke bhi ane lage hain,
karte hain ab mohabt ka izhaar wo bhi, jab duniya chod hum jane lage hain..
Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar,
Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar.
Tu kandha na dena mere janaze ko,
Kahi mein fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar
Wo jate hue keh gaye ke ab to sirf
tumhare khwabo me hi aayenge,
Koi kehde unse ke wo ek bar wada to karle,
hum zindagi bhar ke liye so jayenge...
mili hai bahut saza unse dil lagane ki
nazar laggi humare pyaar ko zamane ki
kabr se nikle hue dono haat kehte hai
aarzoo rehgai hain bas unhe gale lagane ki...
Meri har khata par naraz na hona,
apni pyari si muskan kabhi na khona,
sukuun milta he dekhkar apki muskurahat ko,
mujhe maut bhi aye to bhi matrona
Ehsaas bahut hoga jab chod k jaaoge,
Royenge bahut magar aansu nahi aayenge,
Jab sath na de koi to AWAZZ hume dena,
Aasma par bhi honge to laut k aayenge
Har Inkaar Tere Ikraar Se AachaHoga
Mera Har Din Teri Har Raat Se Aacha Hoga
Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se
Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga
Maut ke baad yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabr se utha raha hai koi,
Aey khuda do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udaas ja raha hai koi..
Is aas me chala jaaunga main ye jahan chhodkar
Ki shayad mera marna hi kuchh kaam aayega
Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar
Jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega
Naam na lo us mohabbat ka
mohabbat hum bhi kar chuke hai
duniya zinda samajhti hai par yaaro
hum to kabke marchuke hai.
Haseeno ka kafila masjid ki aur ja raha tha, hamne bula liya Hum toh barbad ho chukethe sanam khuda ko barbad hone se bacha liya
"Mohabbat ko Mohabbat ka ishara Yaad rehta hai,
Har pyar ko apna pyar yaad rehta hai;
vo pal jo yaar ki baahon main guzara ho,
Maut tak vo nazara yaad rehtahai...."
Khuda se Maine ek dua maangi,
Dua main apni maut maangi,
Phir khuda NE kaha maut to tujhe mein de du,
Par usko kya kahu jisne teri lambi umar maangi....
Mohabbat mein unki hum barbaad ho gaye
Kya hoti hai khushi is-se anjaan ho gaye
Maut ab hamara ghar hi to hai
Zindagi ke liye to hum mehman ho gaye
Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge
main dooba to kinare pe khadithi duniya,
hasne walo me mera muqaddar bhi tha,
ro raha tha jo janaze se lipat kar mere,
kaise keh doo k wohi mera qatil tha. ...
Koi dikha k roye,
Koi chupa k roye,
Hame rulane wale hame rula k roye,
Marne ka maza to tab hai yaro,
Jab Qatil bhi janaze pe aa k roye....
Kisne meri kabar par aake diyajala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan majar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jtane vale tanha chodgye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
Woh saath chalne vale apna rasta hi mod gaye ...
Karoge yaad guzre zamane ko
Tarsoge aap humare saath ek pal bitane ko
Phir awaaz doge humein laut aane ko
Hum kahenge darwaza nahin hain kabr se bahar aane ko
Insaano ke kandho par insaan ja rahe the
kafan mein lipte huain kuch armaan ja rahe the
jine mili bewafai pyar mein
woh wafa ki talash mein shamshaan ja rahe the
Kuch phool hum par gire,
Kuch phool un par gire....
Bas fark sirf itna tha ki woh apni duniya basa rahe the,
Aur hum is duniya se ja rahe the....
Ashk wo bhi girane lage hain,
paigam unke bhi ane lage hain,
ikraar karte hain ab mohabt kawo bhi,
jab duniya chod hum jane lagehain..
HO KE DUNIYA SE NARAZ,
JAB DOOR KAHI JA RAHAA THA MAIN.
TUNE DI THI PICHE SE AAVAZ,
JAB DOOR KAHI JAA RAHAA THA MAIN.
AB YAAD KAR MUJHE, YAA AASU BAHA,
KOI FARK NAHI PARTA.
KYOKI TUNE IZHAAR BHI TAB KIYA,
JAB DUNIYA CHOD KE JAA RAHAA THA MAIN
WOH AAYE HUMARI KABR PAR
KARNE MOHABBAT KA IZHAAR
MERI BEIJAAN JISM NE KAHA
MAT RO MERE YAAR AAJ BHI MEIN KARTA HOON TUJHSE PYAR
JANAZA MERA UTH RAHA THA
FIR BHI TAKLEEF THI UNKO AANE MEIN
KITNE LOG THE TUMHARE JANAZE KE PEECHE
EMOTIONAL
Kewal tum hi ho zindagi main par main tumhe pa nahi sakta,
Rahega dukh humesha tumhe na pane ka.
Par apni khushi ke liye tumhe rula nahi sakta.
Jisne humko chaha, usey hum chah na sake,
Jisko humne chaha usey hum pa na sake,
Mohabbat ko samajh gaye ek tutne ka khel hai,
Kisika todna pada aur apna bacha na sake
kuch fitrat hi aisi hui ki
pyar se jeene ki surat na hui,
jinhe chaha vo mil na sake,
jo mile un se mohabbat na hui
Dil Gumsum, zubaan Khamosh
Ye Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha ,
Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyu Hai*
Tarste they jo milne ko hamse kabi,
aaj voh kyo mere saye se katrate hai,
hum bhi wahi hai dil bhi wahi hai,
na jane kyo log badal jate hai.
Na jaane ye nazare kyun udaasrehte hai
Na jaane inhe kiski talaash rehti hai
Ye jankar bhi ki woh apani nahi hai
Fir bhi unhe paane ki aas rehti hai
Yeh raate itni tanha kyon hoti hai,
sabko apne kismat se shikayat kyo hoti hai,
yeh kismat bhi ajeeb khel khelti hai,
jise hum paa nahi sakte usi se hume muhabbat kyon hoti hai.
Ek gair se mujhe itna pyar kyun hai,inkar karne par bhi mujhe ikrar kyun hai,meri takder mein tujhe milna nahi shayad,phir bhi har mod par tera Intjar kyun
hai?
ARZ HAI. DARD KA RISHTA HAI HAMARA, ISHQ HAMARA NASIB NAHI,
HUME APKI CHAHAT MILE, ITNE HUM KHUSH NASIB NAHI.
CHAHA TO JINDAGI SE BAHUT KUCH,
MAGAR TUJHE PANE KI EK PYAS SI REH GAYI,
CHAH KAR BHI TUJHE PA NA SAKE HUM,
BUS AB TERI MEETHI SI YAAD REH GAYI
Bada armaan tha tere sang jeevan bitane ka,
Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka,
Dewaangi isse badkar bhi kya hogi,
Aaj bhi intezar hai tere aane ka.
Hum tumhe bahut chahate hain,
Magar aapka milna hamaari kismet mein nahin,
Isiliye hum aapse dosti karna chahate hain,
Magar aapki dosti bhi hamaari kismet mein nahin
Kismet se apni mujhko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usise mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
Kya kahe kise kahe
Kya dosh de taqdeer ko
Kismat mein jiska milna likha hi nahin
Kyon koshish kare usey haasil karne ko
KYA KAHU KISE KAHU, KYA DOSH DU TAKDIR KO,
MERA NASIB MEIN TO YEH BHI NAHI, KE DEKHU APKI TASVEER KO....
Khuda ne yeh nainsaafi hamaare saath kyon kiya
Tumhe amir aur humein gareeb kyon kiya
Mere dil mein tumhaare liye mohobbat paida kyon kiya
Chahat badhane ke baad mujhe tuse juda kyon kiya......
Khuda ne yeh nainsaafi hamaare saath kyon kiya
Tumhe amir aur humein gareeb kyon kiya
Mere dil mein tumhaare liye mohobbat jagakar
Mujhe tumse juda kyon kiya..........
Teri Qurbat mili magar tera Sahara na Milaa ;
Qareeb puhanch ker bhi Sahil ko Kinara na Mila ;
Dekhta Raha Ghour se hatheli apni;
Magar Mujhey apni Kismat ka Sitara na Mila.
NA KOI KISI SE DOOR HOTA HAI
NA KOI KISI KE KAREEB HOTA HAI
PYAAR KHUD CHAL KAR AATA HAI
JAB KOI KISI KE NASEEB MAIN HOTA HAI
MERI DEEWANGI KO GALAT NA SAMAJHNA,
MAINE CHAHA HAI TUMHE HADHSE BADHKAR ,
MERI ZINDAGI SE KABHI DUR NA JANA,
MAINE PAYA HAI TUMHE KISMATKI LAKEERON SE LADHKAR
Fareb tha hasi mein, aashiqui samaj baithe...
Maut ko hi hum, apni zindagi samaj baithe....
Waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari...
Unki do baton ko, Hum Chahatsamaj baithe...!!!
MAANA KI AAJ HAMARE SAATH KOI DILDAAR NAHIN,
LEKIN YE MAT SAMAJHNA KI HAMEIN KISI SE PYAR NAHIN,
KISMAT NE SAB KUCHH DIYA HAMEN,
SIRF DIYA HAMEIN WOH YAAR NAHIN
Talash karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega.
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar aakhein hamari kaha se layega
TANHAIYON SE NAHI HUM MEHFIL SE DARTE HAI,
DUNIYA SE NAHI HUM KHUD SE DARTE HAI,
YUN TO BaHuT KUCH KHOYA HAI HUMNE,
NA JANE KYON TUMHE KHONE SE DARTE HAI
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahut hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu??
Dil gumsum, zuban khamosh,
Yeh aankhen aaj nam kyon hai.
Tumhe kabhi paaya hi na tha,
To aaj khone ka gam kyon hai.
SAPNO KI TARAH AAKAR CHALE GAYE, APNO KO BHULAKAR CHALE GAYE,
KIS BHUL KI SAJA DI AAPNE HAME, PEHLE HASAYA FIR RULAKAR CHALE GAYE
Rishton ki ye duniye hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari.
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree,
Agar aa jaaye muskaan hoto pe tumahari.
Zindagi nahi hame dosto se pyari,
Dosto pe haazir hai jaan hamari.
Aankhon mein hamare asoon hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaantumhaari.
Dil ko dhadkna tune sikhaaya,
Dil ko taRapna tune sikhaaya,
Aankhon men aansoo kahin chhupe the,
Unko jhalakna tune sikhaaya.
Jazbat-e-ishq nakaam na honedengay
Dil ki duniya mein kabhi shaam na hone dengay
Dosti ka har ilzaam apne sar lengay,
Par Dost, aapko kabhi badnaam na hone dengay !
Deewane hai tere naam ke is baat se inkar nahi,
Kaise kahe ki hume aapse pyarnahi,
Kuch to kasoor hai aapki adao ka,
Hum akele to gunhegar nahi?..
Do Kadam TO Sab Chal Lete Hain,
Par, Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein
To Hanskar Koi Ghum Naa Chupata!
Aankhon ki zuban wo samajh nahi pate,
Hoth magar kuch keh nahi pate,
Apni dil ki baat kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahi pate
HUME BHI PYAAR KARNE KA KHAYAL AAYA,
JUB BHI YEH KHAYAL AYA KHUD KO AKELA PAYA,
DHOONTE RAHE IS DUNIYA MAINHUMSAFAR,
KISI KO DHoKE BAAZ, KISI KO BEWAFA HI PAYA
Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge,
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge,
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena,
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge.
KISI KO MOHABBAT KI SACHAI MAR DALEGI,
KISIKO MOHABBAT KI GAHRAI MAR DALEGI,
KAR KE MOHABBAT KOI NAHI BACHEGA,
JO BACH GAYA USE TANHAI MAR DALEGI.
AANSU KO PALKO TAK LAYA MAT KARO,
DIL KI BAAT HAR KISI KO BATAYA MAT KARO,
LOG MUTTHI ME NAMAK LIYE PHIRTE HAIN,
APNE ZAKHAM UNHE DIKHAYA MAT KARO,
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaano me gunjti shahnai si lagti hai...
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai....
Kis dil se unki wafa mangu,
Kis pal se unse milne ki taareekh mangu...
Mujhe to dar hai unhe kho dene ka,
Kis Khuda se unko paane ka naseeb mangu..
Lamha lamha waqt guzar jayega,
Chand lamho mein daaman chut jayega.
Abhi waqt hai do baatein kar lo humse,
Kya pata kal kaun tumhari zindagi mein aa jayega
Nazar andaz kaise kare aapko,
Nazron me bithaya hai jo aapko,
Yaad aane par roye bhi to kaise,
Darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko
Har khamosi ka matlab inkar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab har nahi hota
Kya hua hum aapko pa na sake,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota
Dil ki aawaj ko ikarar kahate hai
Zhuki nighaho ko izhar kahatehai
Kuch pane ka naam hi pyar nahi hota
Kuch khone ko bhi pyar kahate hai
Zindage ek chahat ka silsila hain;
Koi mil gaya to koi bichad gaya;
Jinhe maanga tha duvao mein;
Woh kisi aurko bina maange mil gaya.
Pyar mein kabhi kabhi yeh hota hai,
Aankhein num aur dil rota hai,
Hum jise maante hain manzil apni,
Uska humsafar koi aur hota hai.
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho,
Zaruri to nahi hum jinke hai woh humara ho,
Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho
Zindagi sabhiko mile zaruri to nahi,
Pyar bhi sabhiko mile zaruri to nahi,
Kuch log bahut yaad ate hain Zindagi mein,
Woh bhi hume yaad karein Zaruri to nahi
Tufan mein kashti ko kinare bhi milte hai,
Jahan mein logo ko sahare bhi milte hai,
Duniya mein sabse pyari hai zindagi,
Kuch log zindagi se pyare bhi milte hai.
khwaab dekhe bhi nahi aur tut gaye,
wo humse mile bhi nahi aur ruth gaye,
hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi jo saath roti rahi
Gam K Aansu Dikha Nahi Sakte,
Apna Haq Aap Par Jata Nahi Sakte,
Anmol Ho AAP Meri Nigahon Me,
Yeh Bat Hum Aapko Ek Shayari Mein Bata Nahi Sakte
"Khubsurat hai zindagi khwaab ki tarah,
jaane kab tut jaye kanch ki tarah ,
kisi mod pe mulakat ho gai hamari to
ankhen mat modna anjano kitarah"
sitaron se bhari aasman me
woh aftaab nazar nahi aata
begano ke is mehfil me
woh apna sa chehra nazar nahi aata
jindagi gujar jaati hai khwabon ke sahare
jis khwaab ki koi taabeer ho nazar nahi aata
yun toh kat jani hai safar-e-jindagi
manzil tak le chale woh hamsafar nazar nahi aata
zakhm de jaaye jo kaante miljaate hain beshumaar
mehka de khusbu se jindagi ko woh phool nazar nahi aata
kabr par rone aa gaye dost aur dushman kai
magar rooh ko sukun de jaaye jo woh qatil nazar nahi aata
HUMNE SOCHA SHAYAD HAMI CHAHTE HAI UNKO,
PAR UNKO CHAHNE WALON KA TO KAFILA NIKLA,
DIL NE KAHA SHIKAYAT KAR KHUDA SE,
PAR VO KHUDA BHI UNKO CHAHNE WALA NIKLA
Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
Khuda ne mujhse kaha
Ishq mat karna Deewana ho jayega
Maine kaha, Zameen per aakar mere yaar se mil
Tujhe bhi ishq ho jayega
Khuda ne mujse kaha-bande ishq na karna ishq me tu deewana ho jayega.
Maine kaha-ae Khuda kabhi insan banke dekh,ishq khud hiho jayega
Khuda ne jab ishq banaya hoga,
To khud par bhi zarur aazmayahoga,
Hum hain kaun aur tum ho kya,
Is isqh ne khuda ko bhi rulaya hoga.
Pyar ek saahil hai toofano ke liye,
Pyar aaina hai armano ke liye,
Pyar ek mehfil hai anjano ke liye,
Pyar ek khawaish hai apne pyar ko pane ke liye,
Yeh pyar ek puja hai zindagi ke liye..
Is puja ko yu ruswa na kiyiye khuda ke liye!!!
Manzile bhi uski thi, Raasta bhiuska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha !
Apna dil apni tabahi ka sabak hota hai,
Yeh jawani ka zamana bhi ajab hota hai..
Kaun si baat ne kis sakhs ka diltod diya,
Bolne wale ko aehsaas bhi kabhota hai...
Hum Aaj Yeh Ikarar Karte Hai
Hum Bhi TumSe Pyaar Karte Hai
Kahi Pass Aane Se Duriyan Na Budh Jaye
Yehi Soch Ke TumSe Door Rehta Hai .........
UNE CHAHNA HAMARI KAMZORI HAI,
UNHE KEH NA PANA HAMARI MAJBURI HAI,
VO KYO NAHI SAMAJTE HAMARI KHAMOSHI KO,
KYA PYAR KA IZHAR KARNA ZARURI HAI
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya,
Pyar kiya to jatana na aaya.
Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who,
Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samane na aaya
Ankhon me aansu aa jate hai
phir bhi labo pe hasi rakhni padti he,
ye mohabbat bhi kya chiz hai yaro
jise chahte hai usise chupani padti he!!!!!!!
USKO CHAHA BHI TO IZHAR KARNA NA AAYA,
KAT GAYI UMAR SARI HAMEIN PYAR KARNA NA AAYA,
USNE MANGA BHI AGAR KUCH TO, JUDAAI MAANGI,
AUR HUMEIN INKAR BHI KARNA NA AAYA
Jaate jaate who koi achi nishani de gai,
Umar bhar door reh saku aisi kahani de gai,
Kher hum to reh gaye pyase,
Par hamari palko ko who paani de gai.
Yaad mein teri aahen bharte hai,
Har saans ke saath tujhe yaad karte hai.
Maut sachai hai ek roz aani hai,
Lekin teri judai mein har pal marte hai
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati...
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to humein tadpane se baaz nahi aati....
Tumhari yaado ko rok pana hai mushkil
Rote hue dil ko manana hai mushkil
Ye dil aapko kitna yaad karta hai
Yeh baat ek shayari me bata pana hai mushkil
Kaash vadon ka matlab wo samajhte,
Kaash khamoshi ka matlab wo samajhte,
Nazar milti hai hazaron nazaron se,
Kaash meri nazaron ka matlab wo samajhte
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai..
Dard kafi hain bekhudi ke liye, maut zaruri hain zindagi ke liye,
kaun marta hain kisike liye,hum to zinda hain sirf aapki dosti ke liye.
vaadon par wo aitbar nahi karte,
hum zikre mohabbat sare bazar nai karte,
darta hai dil unki rusvaai se aur woh sochte hai ki hum unhe pyar nahi karte
Tum dil ko bekrar kyo nahi karte,
Meri mohabbat par atbar kyo nahi karte,
Jee nahi sakta hoke juda tumse,
Lekin tum to mohabbat ka izhaar nahi karte...
Kabhi to sab jaane pehchane lagte hain,
Kabhi to apne bhi begane lagte hain...
Woh hume chod gaye to ehsaas hua,
Kabhi kabhi kisi ko samjhne me zamane lagte hain...
Woh samajhte hain humne unhe bhula rakha hai,
Woh kya jaane dil me humne uneh chupa rakha hai...
Dekhe na koi unhe meri aankhon me.
Isliye palkon ko humne gira rakha hai....
Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha
Mind Blowing
Ek hi tamanna hai is fakir ke paas,
Meri tasvir lagana apni tasvir ke paas...
Taki dekhe to log kahe,
Dekho Raanjha kaise baitha hai apni Heer ke paas...
Najane kyu koi humse khafa raheta hai,
Bina koi wajah humse dur raheta hai,
Koi jake unko bata de jara,
Uski muskan se hi hamari din gujarta hain
Dosti ki rahon mai kabhi akelapan na mile,
Aai dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile,
Dua karte hai hum khuda se,
Tuhme jo bhi dost mile HUM sekam na mile
Dil se tera khayal na jaye to kya karu,
Tu hi bata tu yaad aye to mein kya karu,
Hasrat to yeh hai ki ek nazar tujhe dekh lu,
Magar kismat woh lamhe na laye to mein kya karu
Bahut Chaha par unhe bhula na sake,
Khayalo mein kisi aur ko la na sake,
Kisi ko dekh kar aansu to ponch liye,
Par kisi ko dekh kar muskura na sake.
Khamosh se tum rehne lage ho,
Intezaar kisika karne lage ho,
Yakinan kisise huin hai mohabbat,
Bina baat ke hi muskurane lage ho?..
Kisi ne hume aashiq kaha,
Kisi ne hume diwana kaha....
To kisi ne hume shayar kaha
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hume begana kaha....
Har waqt muskuraana fitrat hai hamari
Aap yuhi khush rahe hasrat haihamari
Aap hame yaad kare na kare
Magar Aap ko yaad karna aadat hai hamari
Har waqt muskuraana fitrat hai hamari
Aap ko hamesha khush dekhna hasrat hain hamaari
Aap bhale hi humaare liye dua kare na kare
Magar Aapki khushi ke liye duakarna ibadat hain hamari.
Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan
Saagar Mein Leharein Aaye To Chupaaein Kahan
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahan!!
Hakeekat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Tumhari dosti hai mere jeene ka bahana.
Raat hongi to chand bhi duhaai dega,
khwabon mein tumhe wo chera dikai dega,
ye mohabhat hai zara soch ke karna...........
ek ansu bhi gira to sunai dega.!!
E kalam zara ruk-ruk ke chal
kya gajab ka mukam aaya hai,
Thodi der thehar ja E Zalim
Teri nook ne neeche mere mehboob ka naam aya hai...
Nakam si koshish kiya karte hai.
Hum hain ki unse ulfat kiya karte hai,
Kudrat ne takdir me ek tuta tara nahi likha.
Aur hum hai ki chaand ki aarzoo kiya karte hai!
Ek adaa aapki dil churane ki,
ek adaa aapki dil mein bas jane ki,
ek chehera aapka chand sa,
aur ek hi zid hamari us chand ko pane ki...
Saare aasman ki sair kar aaye
Har ek sitaro se dosti kar aaye
Ek tara khaas tha jise hum saath le aaye
Varna aap hi sochiye AAP iss zameen par kaise aaye
Sab kehte hai achhe log mar kar sitare ban jate hai,
Magar hum kehte hai, Achhe sitare toot kar,
Aap jaise dost ban jaate hai. Hai na?
Aarzoo hai door se dekhne ki
Kareeb aana bhi nahi chahte
Tamanna nahi tumhe pane ki
Magar khona bhi nahi chahte
Wo chand jaise aasman me chamakte rahe. Hum raat bhar unki chamak me khoye rahe.
Jaante hai kabhi na paa sakenge unhe. Phir bhi har dua me unhi ko mangte rahe.
Chaand utra tha hamare aangan,
par taaro ko ye gawaara na tha,
ham to kar dete taaro se bhi bagawat ,
par kya kare, woh chaand hi hamara na tha"
Log kehte hai ki itni dosti mat karo ke dost dil par sawar ho jaye.
Hum kehte hain dosti itni karoke dushman ko bhi tumse pyarho jaye...
NA CHAHO UNKO ITNA,
KI CHAHAT TUMHARI KAMJORI HO JAYE,
PAR KUCHH AISA KARO,
KE TUMHARA PYAAR UNKE LIYE JAROORI HO JAYE
Raat kya chali gayi sitaare chale gaye,
Gairo se kya gilah /shikwa jab apne chale gaye.
Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi,
Par unhe jitane ke liye hum haarte chale gaye
Shukriya aapka jo humko aapne apna mana,
Pairon ki dhool bhi na they hum,
Jo aapne humko apna khuda mana.
Kisne kahan hain judai hogi,
kisi gair ne ye khabar udai hogi,
Bade shaan se rahenge hum aapke dil mein,
Itne dino mein kuch to jagah banai hogi.
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh kodeewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
KASH KHUDA NE HUME EK KITAAB BANAYA HOTA ,
AUR USSE PADNE KE LIYE SIRF AAPKO BANAYA HOTA,
AAP PADHTE TO SO JATE,
ISI BAHANE AAPNE HUME GALE TO LAGAYA HOTA.
Beshak kuch waqt ka intezar mila humko
par khuda se badkar yar mila humko
na rahi tamanna kisi jannat ki hamein a dost!!
Teri dosti se woh pyaar mila humko..
Tumne to yaar mujhe jeena sikha diya,
Mohhabat ki raah par chalna sikha diya.
Mili humko jab se tumahari dosti,
Gum mein bhi muskarana sikha diya
Khuda ne agar ye rista banaya na hota,
Ek dost ko dooje se milaya na hota,
Zindagi ho jaati bejaan,
Agar mere zindagi mein tumhekismat ne laya na hota.
Chand par kaali ghata chaati to hogi,
Seetaron ko muskurahat aati to hogi.
Tum lakh chupao duniya se magar,
Akele main hamari yaad aati tohogi.
Kismat ruk gayi, dil ke tar toot gaye,
woh bhi rooth gaye, sapne bhitoot gaye,
khazane mein the sirf do aansu,
jab aapki yaad aayi woh bhi lut gaye.
Kaash dil ki awaaz main itna asar ho jaaye
Hum jinhein yaad karein unhe khabar ho jaaye
Aapka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Aapki yaddon ko sine se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aap hi kyu aateho,
Dost to humne auro ko bhi bana rakha hai .
Kisi ki chahat pe Zinda rehne wale hum na the,
Kisi pe marmitne wale hum na the,
Aadat si padgai hai tumhe yaad karne ki,
Warna kisi ko yaad karne walehum na the
Dur hote hue bhi dil ke kareeb lagte hain AAP,
Na jaane kyon dil ko lubhate hai AAP,
Ye kaisa Karishma hai aapka,
Jo HUM ko itna yaad aate hai AAP.
CHAND SE PYARI CHANDNI, CHANDNI SE PYARI RAAT,
RAAT SE PYARI ZINDAGI, ZINDAGI SE PYARI...'AAP'
Bahut Ajeeb Se Lagte Ho,
Dur Rehkar Bhi Dil Ke Bahut Kareeb Lagte Ho...
Malum Hai Tumhe Hum Paa Na Sakenge,
Phir Kyun Tum Hume, Humare Naseeb Lagte Ho....
Dil se dil badi mushkil se milte hai,
Tofanoo mein sahil badi mushkil se milte hai.
Yu to mil jaate hain hazaron,
Magar AAP jaise dost nasib walon ko milte hai
Dil se gujarish karte hain
Hamara aitbaar kar lena
Hum sirf aapse dosti karna chahate hain
Manzoor ho to kabool kar lena
Koi waada nahi fir bhi tera intezar hai,
Judai ke bawjood bhi tujhse pyar hai.
Tere chehre ki udasi de rahi hai gawahi,
Mujhse bichad ke tu bhi bekarar hai
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota.
Milte hai bahut se log is tanha zindagi main,
Par har koi tumsa pyara nahi hota.
Mere dil te asar tera hi rehnda hai,
Merian galiyan vich zikar tera hi rehnda hai,
Pata nahi kee rishta hai tera temera,
Ke es dil nu bas tera hi fikar rehnda hai
Pyaar ki andekhi surat ho tum,
Kisi ki zindagi ki zarurat ho tum.
Khubsurat to phool bhi bahut hai jahan me,
Par mere liye phoolo se bhi zyada khubsurat ho tum.
Kisi ke dhadakte dil ke peeche jaroor koi baat hoti hai,
Kisi ke udas dil ke peeche kisiki yaad hoti hai,
Aap ko pata ho-na-ho,
Aap ki khushi ke peeche humari fariyaad hoti hai..
Kanton se mujhe nafrat thi, Phoolon ko maine toda
Jis per kiya tha bharosha, Usnehi tanha choda
Juban khamosh hai, aankho me nami hai,
yunhi bas ek daastane zindagi hai,
bharne ko to har zakhm bhar jayega,
par kaise bharegi woh jagah
jahan aapki kami hai.
Najane kyu koi humse khafa raheta hai,
Bina koi wajah humse dur raheta hai,
Koi jake unko bata de jara,
Uski muskan se hi hamari aankho mai noor raheta hain
The following are some of theshers recited by kajol and aamir in fanaa: destroyed in love:
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine ,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me UskaNaam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde
1/ Na shehar dekho na biyabaan dekho,
Khuda ka iklauta naam-o-nishaan dekho,
Bas aankh uthaao,
Aur rehan dekho.
2/ Phool hoon gulaab ka
Chameli ka mat samajhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samajhna
3/ Baithi hain honthon ko see kar, pachhtaainge aap,
Ishq jaag uththa hai aksar aisi khaamoshi ke baad.
4/ Insaan ki khawahish ki koi intihaa nahi,
Do gaz zameen chahiye, do gaz kafan ke baad.
5/Dard se aankhen chaar kar lein gaye,
Hum bhi imtihaan dey dein gaye,
Teri dosti key khaatir ai dost,
Hum dushmanon se bhi pyaar kar lein gey.
6/ Humse door jaoge kaise,
Dil se hamein bhulaoge kaise
Hum woh Khushbu hain jo saanson mein baste hain,
Khudki saanson ko rukh paoge kaise.
7/ Aisa laga khuda nein Radiyahamaare dil pe haath,
Liya naam hamaara unhon nein kuch aisi ada key saath.
8/ Bekhudi ki zindagi hum jiyanahi karte,
Jaam doosron se cheen kar hum piya Nahi karte,
Unki mohabbat hai to aakar izhaar karein ,
Peecha hum bhi kaisi ka kiya nahin karte.
9/ Paani se pyaas na buji to meikhaaney ki taraf chal niklaa,
Socha shikayat karoon teri khuda se, Par Khuda Bhi tera aashiq niklaa.
10/ Tujhe is Baazaar ka dastoor mein samjha na saka,
Bik gaya jo woh khareedar ho nahi saka.
11/ Aag suraj main hoti hai,
Jalna zameen ko padta hai,
Mohabbat nigaahein karti hain,
Tadapna dil ko padta hai.
12/ Bhool Kar key Agar Hum se koi bhool hui ho,
To bhool samajh kar bhulaa dena,
Lekin bhulaana sirf bhool ko,
Galati se bhi humain na bhulaadena.
13/ Rone de tu aaj humko tu aankhe sujaane de,
Baho me le le aur khud ko bheeg jaane de,
Hai jo seene me Quaid dariya woh chut Jayega,
Hai itna dard ki tera daman bheeg Jayega
14/ E Khuda aaj yeh faisla karde,
Use mera ya mujhe uska karde.
Bahut dukh sahe hai maine,
Koi khushi ab to muqadar Karde.
Bahut Mushkil lagta hai usse door rehna,
Judai Ke safar ko kum Karde.
Jitna door chale jaye woh mujhse,
Use utna kareeb Karde.
Nahi likha agar nasib me uska naam,
To khatam kar yeh zindagi aur mujhe Fanaa Karde.
15/ Tere dil mein meri saansonko panaah mil jaye
Tere ishq mein meri jaan Fanaa ho jaye.
16/ Adoori saanstein dhadkan Adoori thi adoore hum
magar ab chand pura hai falak pe aur ab purein hai hum
*********************************************************************
GHAM NE HASNE NA DIYA,
ZAMANE NE RONE NA DIYA,
IS ULJAN NE CHAIN SE JINE NA DIYA,
THAK KE JAB SITARO SE PANAH LEE,
NIND AYEE PAR TUMHAARI YAAD NE SONE NA DIYA
Ye raat itni tanha kyun hoti hai
kismat pe apni sabko shikayat kyun hoti hai
jise hum paa nahi sakte kabhi,
mohabat usi se kyun hoti hai
.
AEY ALLAH AAJ YEH FAISLAA KAR DE
USE MERA YA MUJHE USKA KAR DE
BOHOT DUKH SAHE HAIN MAINEZINDAGI MEIN
KOI KHUSHI AB MERA MUQADDAR KAR DE
NAHIN NASEEB MAIN AGAR USKA MILNA
KHATM KARDE YE ZINDAGI, MUJHE FANAA KAR DE !!!
Har raaste ka mukam nahi hota,
Dil ke rishto ka naam nahi hota,
Khoja hai apko dil ki roshni se,
Aap jaisa dost kisike liye aam nahi hota.
Jaam pe jaam peene se kya fayda
Sham ko pi subhaha uter jayegi
Do bund hamari dosti ke peele
Sari Zindagi nashe me gujar jayegi
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu??.. kuch khas ho tum?.
Tarste the jo milne ko hamse kabi,
aaj voh kyo mere saye se katrate hai,
hum bhi wahi hai dil bhi wahi hai,
na jane kyo log badal jate hai.
Hum aapki yaad mein udaas hain,
Bas aapse milne ki aas hai,
Chahe dost kitne hi kyon na ho,
Humare liye to bas aap hi khaas hain
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewane ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte
Nazar jhuki to paimane bane,
Dil tute to maikhane bane.
Kuch na kuch to jaroor hai aapmein,
Yu hi nahi hum aapke deewane bane
Raat Ko jaag kar subha ka intezar karna,
Aaapse milkar bhi milne ka intezar karna,
Kuch to Kashish hai Aap me,
Kahan se sikha aapne karar dekar bekarar karna! ...
Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
Har dil mein ek chahat hoti hai,
Mumkin nahi har ek ke liye TAJ MAHAL banana?..
Par har dil mein ek mumtaz jarur rehti hai!
baja to main bhi sakta tha, parmera saaz tha bevafa.
gaa to main bhi sakta tha, par mera raag tha bevafa.
aye shenshah apne tajmahal par itna guman na kar,
bana to main bhi sakta tha, par meri mumtaz thi bevafa
Dooriyo se fark padta nahi hai.
Baat to dilo ki nazdikiyo se hoti hai.
Dosti to kuch khas aap jaise se hi hai,
Varna mulaqat na jaane kitno se hoti hai.
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf hatatekyon ho
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yunhi
Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyu aata hai,
jisko hum chahte hai wohi kyurulata hai,
mere khuda agar wo mera naseeb nahi to aise logon se
kyu milata hai
Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
dil me rehne walo ki baat nahi karte,
hamari to ruh me bus gaye hain aap,
tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz nahona,
saath rehna hamare akhiri dum tak
Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo
Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phool bikhar pade,
dukh woh nahin ki unhone hume alvida kaha,
dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade
Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
Kaun hai jo manzil se door nahin,
kaun hai jo zindagi se majboor nahin,
gunaah to sabhi karte hain,
humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahin
Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
hume koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banate gaye
Ruthne ka haq aap rakhte hai
manane ki chahat hum rakhte hai,
aapke hoton pe muskurahat yu hi bani rahe
yehi dua rab se hum roz karte hai
Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapsechalo aapki umar bhar ki
dosti mangte hain
Ae khuda dua ye meri khali na jaye
ke mere dost ki palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle
gum ke aansu mere hisse me aa jaye
Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marham kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete
Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ne ki hai bewafai tujhse lekin meri duaon
me asar aaj bhi hai
Nazre na hoti to nazara na hota,
duniya main hasino ka guzara na hota,
hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
jaake khuda se kaho hasino kobanana chhod de
Mere alfazon ko juth mat samajna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par mar jau toh bewafa mat
samajna
Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho,
kal me aaj jaisi baat ho na ho,
yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
tamaam umar chahe mulaqat ho na ho
Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera jo mujhe uski yaad har pal aa
jaati hai
Leke hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi wo khushi kya kare,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahi,
bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi
Sehmi si nigaho mein khwab hum jaga denge,
sooni in raho pe phool hum khila denge,
humare sang muskura ke to dekhiye,
hum aapke har gum bhula denge
Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon,
keh du zamane se dastan apni,
usme aayega tera naam isiliye chup hoon
Tum milo na milo milne ka gam nahi,
Tum pas se nikal jao milne se kam nahi,
Mana ke tumhe humari kadar nahi,
Magar unse pooch jinhe hum hassil nahi?.
Sabne kaha ishq dard hai
Humne kaha dard kubool hai
Sabne kaha is dard ke saath jee nahin paaoge
Humne kaha is dard ke saath marna kubool hai!!!!!!
Khatah ho gayee; maaf kar dena hume
Jo humne hamesha hamesha tumhe muskurate dekhna chaha
Jo tumhari aankho mein humesha khushi dekhna chaha
Khatah ho gayee maaf kar dena hume
Jo tumhari khushi ko hum hamari khushi samajh baithe
Tumhare ghum ko hum apna ghum samajh baithe
Khatah ho gayee maaf kar dena hume - 2
Ki humne tumhe apna sabse pyara dost samjha
Ki humse sirf tumse hi apn pareshani zikr karna samjha
Khatah ho gayee maaf kar dena hume
Jo humne tumhe apna khuda jaisa nahin balke apna khuda hi samjha
Bas tumhe hi din raat puja
Khatah ho gayee maaf kar dena hume
Jo humne hamesha tumhaari khushi ke liye duaye maangi
Bhali hi humaari zindagi mein kitne pareshani kyon na aaye
Khatah ho gayee maaf kar dena hume
Fir aasuo ke kuch fasane nikle,
Maikhane se sharab ke peimane nikle,
Jo dil ka haal hamara samajh hi na paye,
Kyu usko hum apna zakhm dikhane nikle
Dar dar bhatakte hai arman ki tarha
Har koi milta hai anjaan ki tarha
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhna
Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha
socha tha unko is kadar bhool jayenge
dekh kar bhi undekha kar jayenge
par jab jab saamne aaya chehra unka
dil ne kaha ,is baar dekh le, agli baar bhool jayenge
rulane se pehle ek baar hasayato hota,
kasoor kya hai is dil ka
bataya to hota,
mili saza us khata ki jo na ki
kabhi humne,
kaash ye dil kabhi kahi
lagaaya na hota.....!!
Well Wishing
TUMHARI IS ADA KA KYA JAWABDU,
APNE SABSE PYARE DOST KO KYA UPHAR DU,
KOI ACHA SA PHOOL HOVE TO BHEJU ,
JO KHUD FOOL HO USE KAUN SA PHOOL UPHAR DU,
Soch raha hun javab kya bheju,
Aap jaise shaks ko khitab kya bheju,
Koi phool ho to kya kahe,
Jo khud Gulab ho use gulab kya bhejun...
Milay Na Tujhay Dukh Zindagi Mein,
Phool Ki Tarha Mehkay To Zindagi Mein,
Khush Rahay Too Sada, Dua Hay Meri,
Koi Gham Na Bahtkay Teri Zindagi Mein
Tumhari zindagi mein koi gumna ho
Hamari ye dosti kabhi kam na ho
Bas itni hai dua rab se tum khush raho
Kya pata dua karneke liye humkal ho na ho
AANKHON MEIN KHUSHI, LABONPAR HANSI,
GAM KAA KAHIN NAAM NA HO,
AAPKO JAHAAN KI SAARI KHUSHIYAN MILE,
DUA HAIN BAS IN KHUSHIYON KI KABHI SHAAM NA HO..
Muskaan tere hothon se kahin jaye na,
Aansu teri palkon pe kabhi aaye na,
Poora ho tera har khwab
Aur jo poora na ho who khawab kabhi aaye na
Phoolon ki har kali khusbu de aapko,
Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Hum to kuch deneke qabil nahi,
Magar dene wala har khushi de aapko
Chand Taronka nur tujhpe barse
Har koi teri chahat ko tarse
Teri Zindagi main aaye itni khushiya
Ke tu ek gum pane ko tarse
Aapki yaado ki mehek in hawao me hai,
Kuch apnapan in fizao me hai,
Khushiya chume aapke kadam,
Yehi sapna in nigaho me hai.
Utha kay haath Khuda say, bas maangi yahi dua ;
Naseeb hoan khushiyaan tumhein; tum khush raho sada;
Tumhein rahat milay; tumhein chahat milay ;
Tumhain sarey jahan ki muhabbat milay ;
Jahan main sab say hoan achaytumharay naseeb ;
Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb
Tumharey dil ki har aarzoo poori Khuda karey ;
Tumharey chahney walon ko kabhi na juda karey ;
Mil jayein tum ko mere bhi naseeb ki khushiyan ;
Dua hay bas tumhein kabhi gham na milay yahan
Duawo ke bhid mein ek dua humaari ;
Jisme maangi har khushi tumhaari ;
Jab bhi muskuraye aap dil se ;
Samjho dua kabool huein humaari .
Dua karte hain, fariyaad khaalina jaye;
Tumhaari zindage mein kabhi dukho ki parchain na aaye
Aap jo tamanna karo bahaaronki, vo bahaar aapke kadmo mein ho;
Khuda aapko vo hakeekat mein de, jo aapke sapno mein ho....
TUMHE MILE APNI HAR MANZIL KA MUKAM
TUMHE ACHA SATHI MILE YAHI MERA KHUDA KO PAIGAM
HUMSE RISHTA BHALE HI TUMNETOD DIYA HO
PAR CHAHA KAR BHI NA MITA PAOGE APNE DIL SE MERE PYAR KA NISHAN
Na kabhi muskurahat aapke hoton se dur ho,
Aapki har khwahish hakikat me manzur ho,
Ho jaye Jo aap humse khafa,
Khuda na kare humse kabhi aisa kasoor ho
Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai...
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai...
Hatho se gir gayi lakiren kahi,
Bhul aye hum apni takdire kahi.
Agar tumko mile kahi to utha lena,
Mere hisse ki khushi hatho me apne saja lena
Har Subhah Teri Muskarati Rahe,
Har Shyam teri Gungunati Rahe,
DOST tu Jise se bhi Mile,
Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe
Jindagi Ne Khushiyon Ko Pukara Hai!
Sada Mukurao Tum; Tumhara Har Gum Hamara Hai!
Phool Khilte Rahe Jivan Mai Tumhare;
Kaanto ke Liye Daman Hamara Hai!
A KHUDA, TERI ADALAT MEIN,
SAB KI ZAMANAT HO,
KARM HO MERE ,
JANNAT MERE DOST KO NASEEB HO,
KAL HUM RAHE NA RAHE,
PAR MERE DOST KI ZINDAGI MEIN HAMESHA BAHAR HO .....
Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapsechalo aapki umar bhar ki
dosti mangte hain
Ae khuda dua ye meri khali na jaye ke
mere dost ki palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle
gum ke aansu mere hisse me aa jaye
Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marham kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete
Aaj Socha ki jawab kya bheju??,
Apne sabse pyare dost ko Kaunsa khitab bheju
Koi phool hota to alag baat hoti
Jo khud guldasta ho, usey kya gulab bheju....
MUSKAN
Woh hamse ruswa hain ki humgairon ko dekh kar muskurate hain,
par kaise kahe hum unse, hume to har chehre mein woh nazar aate hai..
Wafa ke naam se ghabrate hai....
Jidhar dekho ghum hi ghum nazar atate hai...
Apna dard koi aur na dekhle,
Isliye hum har waqt muskuratehai...
Khushiyo se naaraz hain meri zindagi
Pyar ki mohtaz hain meri zindagi
Hum hanste hain duniya ko dikhane ke liye
Varna dard ki kitaab hain humaari zindagi
Khushi agar hum se daaman bachati hai to bachaye
Humein to gum hi hain raas aaye
Mohabbat ka yeh ajab dastoor dekha
Ussi ki jeet hai......jo haar jaaye......
Andheri raat mein roshni khoj rahe the hum
gum ki is duniya mein khushi khoj rahe they hum
Na mili roshni na khushi mili
Kyonki ek bejan shamshan mein zindagi khoj rahe the hum
Hum Dukhon Ke Sagar Me dube Hai
Na Koi Kashti Na Kinaara
Phir bhi Vishwas hain Hum usey Par kar lenge
Bas de Koi ek Baar sahara
Hum haste hai to wo samajhte hai ki
Inhe aadat hai muskurane ki,
Lekin aey naadano kyon nahinsamajhte ki
Yeh bhi ek ada hai apne gum chupane ki.
Zindagi ka matlab aapne bata diya,
Har gam ka matlab aapne samjha diya.
Aap to Ro-kar bhi apne gamonko halka na kar sake,
Humne Khushi ki aaadh mein apne ghamon ko chupa liya.
Gum-E-Zindagi ke maare hai,
Har baazi jeet ke haare hai,
Meri jholi mein jitne patthar hai,
Sab/ sare mere apno ne hi maare hai...
Mangi thi dua ashiyane ki,
Chal padi aandiyaan jamane ki,
Mere gum koi naa samjh saka,
Kyunki meri aadat thi ghum mein bhi muskarane ki
Hume hasta huwa dekh kar log kehte hain ke hum gam se khali hain,
Par unhe kya pata ki jo gam kebaag hain,
Hum us baag ke mali hain..
Hamein ashqon se palko ko bhigona nahi aata,
mile jo khusi to wuse khona nahi aata,
seh lete hai har gam haske aur log kehte hai hame Rona Nahi Aata!
BHOOL
Usne mere pyar ka achha sila dia....
sitara tha aasman ka khaq memila dia....
usne kia na yad kabhi bhul kar hame....
aur hamne uski yad me sab kuchh bhula dia..
Banke ajnabi mile the zindagi ke safar mein kahin,
in yadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi,
agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
to bhool jane ki aadat hamein bhi nahi!!!!
Woh ruthe humse hum manane chale,
Manana nahi aata yeh bhul he gaye.
Manana humne kabhi sikha henahi,
Kya kare humse yu pehle koi rutha hi nahi