Search

Tuesday 15 May 2012

Gujra jamana

Aaj Phir Se Un Raston Ko Dekha To Guzra Zamana Yaad Aa Gaya,

Yaad Aa Gayi Teri Yaadein Tera Har Ek Fasana Yaad Aa Gaya,

Aankho Ke Samne Se Ho Kar Guzra Beeta Hua Manzar,

Tere Diye Huye Zakhmo Ka Nazrana Yaad Aa Gaya,

Humein Shouk-E-Dard Hua Tha Jo Tujh Se Dil Lagaya,

Dil Jo Tuta Mera To Mere Dard Par Tera Muskurana Yaad Aa Gaya,

Tum Wapas Na Laut Sake Phir Se Apne Safar Ko,

Sham Hui To Parindo Ko Bhi Apna Thikana Yaad Aa Gaya,

Yaha Wafa Bikti Hai Ye Sheher Naye Andaaz Wala Hai,

Jo Kisi Ko Wafa Karte Dekha To Sheher Wo Purana Yaad Aa Gaya,

Aaj Bazar Mein Mufliso Ki Bebasi Dekhi,

Ghar Ko Laute To Teri Bebasi Ka Har Ek Bahana Yaad Aa Gaya,

Mausam Mein Rangat Aayi To Ujad Gaya Chaman,

Mujhe Bhi Mere Khwabo Ka Ujda Hua Aashiyana Yaad Aa Gaya,

Jab Thukrayenge Tujhe Tere Dil-E-Azeez Kareeb Apne,

Tu Bhi Kahegi Zamane Se Mujhe Mera Wo Deewana Yaad Aa Gaya.