Search

Saturday 6 August 2011

Yeh teri muskan


Ye teri muskan bhi, kya gazab
ada dhaati hai, Bina kisi maksat
ke, dil ko dastakde jati hai, Na
kahti hai ye kuch, na hi kuch
batlati hai, Dekhu jab bhi mai
isko, ye to sharma jati hai, Ye
teri muskan b..... Apne kale balo
ko, jab tu aise lahrati hai,
Samajh nahi aata kuch b,
dhadkan meri bad jati hai, Udte
hai jab ye aise to, kali ghata
chha jati hai, Dheere dheere
haule haule, dil ko mere tadpati
hai, Apne kale balo ko... Aankhe
teri jheel si, shabnam ye
chhalkati hai, Bina kahe humse
kuch b, sab kuch ye kah jati hai,
Jab b dekhu mai isko, to khud
mai mujhe dubati hai, Suljhata hu
jitna isko, utna ye uljhati hai,
Aankhe teri... Sari bate bhul gaya
mai, bas yaho samajh mai aati
hai, Kuch aur nahi bhaata ab to,
bas tuhi mujhko baati hai, Ye teri
muskan bhi, kya gazab adaa
dhati hai, Bina kisi maksad k, dil
ko dastak de jati hai..