Search

Saturday 6 August 2011

Kyon khush ho jata hu main

Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke kyon ho
jaata hun main hataash tumhein
udaas dekhke… Chahak sa
uthta hun main kyon jab milne ki
baari aati hain par kyon milne
baad ghanto neend nahi aati
hain… Aankhein band karne se
kyon yaad tumhari aati hain par
jab khulti hain toh kyon phir tu
samne aati hain… Aanso tere
tapakte hain to main kyon
sisakta hun jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun.. Jab
bhi dekhta hun tumhe bas yeh
sochta hun pucho tumse ya
tumse kahun
Dil or aankh……, dil ne kaha
aankh se dekha karo kaam
dekhte ho tum tarapte hain hum
aankh ne kaha dil se socha
karo …
Teri aankhon mein woh pyaar
dikhta hai jis pyar se baqi har ek
mujhe bekar dikhta hai zara
rehne do mujhe aur us ki yadon
mein doston ke us hi yadon mein
mujhe apna ghar baar dikhta hai
kaise soch kun ke mein usse
pyar na karun aakhir us ek mein
hi mujhe apna pura sansaar
dikhta hai meri qismat to chhupi
hai mere khwabon mein kyunke
mere har khwab mein mujhe
wahi dildar dikhta hai wo kehti ke
mein na jaagun raat bhar per wo
kya jaane mein to soya rehta
hun yeh merapyar hai jo bedar
dikhta hai…
Rakhun dil mein ye baat ya keh
dun… Sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun Main aisa
kyon hun…